Roman script

teri nigaho ne kahani jo kahi
sunti rahi main is kadar humsafar
sadiyo se dubi in mein phir bhi lage
jane kya mujhko mukhtasar mukhtasar
bate hai teri gud ki dali si
sunta hi jaau lage bhali si 
bate hai teri gud ki dali si
sunta hi jaau lage bhali si lage bhali si
kaisa asar hai saware saware
naina ye tere bawre saware
naina ye tere bawre saware naina ye tere bawre
is dil mein chahat ki bajti hai shehnaiya
ye khushiya leti hai reh reh ke angdaaiya 
ye khushiya leti hai reh reh ke angdaaiya 
tujhse hi roshan hai ye sare nazare
samjhe ye mausam bhi tere ishare 
tujhse hi roshan hai ye sare nazare
samjhe ye mausam bhi tere ishare 
kar de ye manzar sab hare sab hare
naina ye tere bawre saware
naina ye tere bawre saware naina ye tere bawre
anjaani raho se jab do dil milte hai
phulo ki rangat se tab chehre khilte hai
tab chehre khilte hai tu apsara hai ya koi pari hai
aankho mein tere kaisi jaadugari hai 
tu apsara hai ya koi pari hai
aankho mein tere kaisi jaadugari hai
lagte hai kaise mad bhare mad bhare
naina ye tere bawre saware
naina ye tere bawre saware naina ye tere bawre

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Amit Mishra, Manndakini Bora