Roman script

nagari meri kab tak yun hi barbaad rahegi

duniyaa 

duniyaa yahi duniyaa hai to kyaa yaad rahegi

aakaash pe nikhraa huaa hai chaand kaa mukhdaa

basti me garibo ki andhere kaa hai dukhdaa

duniyaa

duniyaa yahi duniyaa hai to kyaa yaad rahegi

nagari meri kab tak yun hi barbaad rahegi

kab hogaa saveraa

kab hogaa saveraa koi ai kaash bataa de

kis vaqt tak ai ghumte aakaash bataa de

insaano par insaan ki bedaad rahegi

nagari meri kab tak yun hi barbaad rahegi

chahkaaro se chidiyo ke chaman gunj rahaa hai

jharno ke madhur raag se ban gunj rahaa hai

par meraa to, par meraa to

par meraa to fariyaad se man gunj rahaa hai

kab tak mere hotho pe ye fariyaad rahegi

nagari meri kab tak yun hi barbaad rahegi

Explore this song