Roman script
Aye zindagi qatra hoon main Ya main hoon dariya tumhara Aye zindagi zarra hoon main Ya main hoon saara zamaana Ik baar aankhein milake bata to Kya naam hai mera… Chaand hoon main ya chaand ka tukda Ya main hoon daag tumhara Aye zindagi qatra hoon main Ya main hoon dariya tumhara Aye zindagi zarra hoon main Ya main hoon saara zamaana Main chadhta savera Ya hoon kaali raat Ya mit mit ke banti hui qaaynaat Main girta sitaara hoon Ya hoon falak Ya waqt ki aankhon se tooti palak Hai ugte sooraj ki mujhme tapish Hai jalti sitaro ki mujhme khalish Ya mitti ka chota sa main hoon diya Maa ne se re raaz roshan kiya* Aye zindagi main roshni Ya main andhera tumhara Aye zindagi main hoon marham Ya zakhm main hoon purana Ik baar aankhein milake bata to Kya naam hai mera… Chaand hoon main ya chaand ka tukda Ya main hoon daag tumhara Aye zindagi qatra hoon main Ya main hoon dariya tumhara Aye zindagi zarra hoon main Ya main hoon saara zamaana Main mitti mein hoon main chattano mein bhi Main oas mein hoon Main toofaano mein bhi Ik naam mein kaise samaa paaungi Main banjar mein hoon Main baharon mein bhi Main vaani gurbaani azaano mein bhi Main vedon mein hoon Main quraan mein bhi Ek dhaam mein kaise samaa paaungi Main gumbad mein hoon Main minaaron mein bhi Ae zindagi main hi Aleph Main Omkara tumhara Ae zindagi main hi khudi Main khudara tumhara Ik baar aankhein milake bata to Kya naam hai mera… Chaand hoon main ya chaand ka tukda Ya main hoon daag tumhara Ae zindagi qatra hoon main Ya main hoon dariya tumhara Ae zindagi zarra hoon main Ya main hoon saara zamaana Iktara Meera ka Doha Kabire ka Iktara Meera ka Doha Kabire ka Main khaali pyala hoon pagle fakire ka Aaghaaz koi na anjaam hai Mera toh koi bhi nahi naam hai Toh kyun tu tere rakhwaale ghera lagate hain Rasmon ke pinjre mein qaid karaate hain Kyun daam dete hain thappa lagaate hain Mujhse kyun main ki jung karaate hain jung karaate hain jung karaate hain… Main behti nadi hoon mujhe behne do Main pal pal sadi hoon mujhe rehne do Dhaara ki tarah main zameenon mein Main dhool ki tarah Main hoon aasmaano mein Teri hi beti hoon ae zindagi Mitaaye mitungi na main do jahaano se Ae zindagi tu hai meri Main hoon sirhaana tumhara Ae zindagi ik sach yehi Baaki hai jhoota fasaana Ik baar aankhein milake to maano Nahi koi naam mera… Nahi koi naam mera… Nahi koi naam mera… Naamkarann Nahi koi naam mera… Naamkarann Nahi koi naam mera… Naamkaran Nahi koi naam mera… Namkaran.. Nahi koi naam mera…
Song details
- Singer: Monali Thakur
- Film / album: Naamkarann
- Composer: Anu Malik
- Lyricist: Kausar Munir
Song video
language: Hindi