Roman script

main husn hu meri tasveer kya banaye koi

jo rang mujhme bahre hai kahan se laye koi

main ishq hu mujhe chahe to aajmaye koi

meri misal jahan me kahan se laye koi

mere jalwo ki kasam, in adao ki kasam

khul gaya aapki aashqui ka bhram

na khuda hi mila aaye haye

na khuda hi mila na misal-e-sanam

na idhar ke rahe na udhar ke rahe

na idhar ke rahe na udhar ke rahe

jhuthe vado ki kasam, tute khabo ki kasam

khul gaya aapki sadigi ka bhram

na khuda hi mila haye

na khuda hi mila na misal-e-sanam

na idhar ke rahe na udhar ke rahe

na idhar ke rahe na udhar ke rahe

aapko husn ke naaz ki kya khabar

chup rahe jo jaba bolti hai najar

are aapko ishq ke raaz ki kya khabar

ishq ke dum se hai sab ye sham-o-sahar

aji sham hai julfe meri

mera chehra sahar hai

are jo ji chahe kah lo

tumko kis ka dar hai

aa haye haye haye

aap kya chiz hai jinse dar jaye hum

khul gaya aapki aashqui ka bhram

na khuda hi mila aaye haye

na khuda hi mila na misal-e-sanam

na idhar ke rahe na udhar ke rahe

na idhar ke rahe na udhar ke rahe

allah

are hum to wo rang hai jo badalta nahi

husn ka hum pe jadu bhi chalta nahi

hum wo suraj hai jo chadh ke dhalta nahi

apne aage diya koi jalta nahi

are kyu magrur ho itne

ye andaaz bura hai

are apne ishq pe dekho naaz bura hai

o haye haye haye

kab tak dhaogi khud pe julmo sitam

khul gaya aapki sadigi ka bhram

na khuda hi mila haye

na khuda hi mila na misal-e-sanam

na idhar ke rahe na udhar ke rahe

na idhar ke rahe na udhar ke rahe

aapse kya kahe husn ka baagpan

are chhod do chhod do ab ye diwanapan

ha hum hai jane wafa hum hai jane chaman

phir bhi humko nahi hai tumhari lagan

aji tumse sikhe koi

jhuthi baate karna

are ishq humara majhab

ishq hi jeena marna

hoye aa haye haye haye

yu na ruswa karo ishq ko kam se kam

are jo bhi kahte hai wo kar dikhayenge hum

khul gaya aapki aashqui ka bhram

are khul gaya aapki sadigi ka bhram

na khuda hi mila aaye haye

na khuda hi mila na misal-e-sanam

na idhar ke rahe na udhar ke rahe

na idhar ke rahe na udhar ke rahe

na idhar ke rahe na udhar ke rahe

na idhar ke rahe na udhar ke rahe

na idhar ke rahe na udhar ke rahe

na idhar ke rahe na udhar ke rahe

Explore this song