Roman script

nawaqe naaz se mushkil hai bachana dil ka

dard uth uth ke batata hai thikana dil ka

haaye wo pehli mulakaat mein mera rukna

haaye wo pehli mulakaat mein mera rukna

aur uska wo lagavat se badhana dil ka

aur uska wo lagavat se badhana dil ka

nawaqe naaz se mushkil hai bachana dil ka

jee lage aapka aisa ke kabhi jee na bhare

dil lagakar jo sune aap fasana dil ka

dil lagakar jo sune aap fasana dil ka

nawaqe naaz se mushkil hai bachana dil ka

teer par teer lagakar wo kaha karte hain

kyun ji tum khel samajhte the lagana dil ka

kyun ji tum khel samajhte the lagana dil ka

nawaqe naaz se mushkil hai bachana dil ka

dard uth uth ke batata hai thikana dil ka

nawaqe naaz se mushkil hai bachana dil ka

Explore this song