Roman script

keh do keh do dil ki batein aisa pal phir ho na ho 

na rahu mai na rahe tu kal ye pal phir ho na ho 

mujhe tumse mohabbat hai 

magar mai kah nahi sakta 

mujhe tumse mohabbat hai 

magar mai kah nahi sakta 

karu to kya karu bole bin abhi rah nahi sakta 

mujhe tumse mohabbat hai 

magar mai kah nahi sakta 

keh do keh do dil ki batein aisa pal phir ho na ho 

na rahu mai na rahe tu kal ye pal phir ho na ho 

tumhe tanhai me sochu to dhdkan ruk si jati hai 

tumhare samne aakar nazar kyu jhuk si jati hai 

tumhare dil ki har halat hamara dil samajhta hai

mohabbat karne walo ki har mushkil samajhta hai 

ye har mushkil samajhta hai 

guzarti kya hai chahat me 

ye dil kuch kah nahi sakta 

mujhe tumse mohabbat hai 

magar mai kah nahi sakta 

karu to kya karu bole bin abhi rah nahi sakta 

keh do keh do dil ki batein aisa pal phir ho na ho 

na rahu mai na rahe tu kal ye pal phir ho na ho 

na neend apni na chain apna

na dil ki koi baat apni no hosh apne na jaan apni 

na din apne na raat apni ab apni bekarai hai 

mai khud hi hu tamashai na bolu to zuba jalti hai 

bolu to hai ruswai ke bolu to hai ruswai 

hai aisa dard is dil me jise ab sah nahi sakta 

mujhe tumse mohabbat hai 

magar mai kah nahi sakta 

karu to kya karu bole bin abhi rah nahi sakta 

keh do keh do dil ki batein aisa pal phir ho na ho 

na rahu mai na rahe tu kal ye pal phir ho na ho

Explore this song