Roman script

mujhe tere jaisi ladki mil jaye to kya baat ho

mujhe tere jaisi ladki mil jaye to kya baat ho

kabhi paas bulaye, kabhi chhupke sataye

mera dil dhadkaye, mera chain churaye

mujhe tere jaisa ladka mil jaye to kya baat ho

mujhe tere jaisa ladka mil jaye to kya baat ho

kabhi paas bulaye, kabhi chhupke sataye

mera dil dhadkaye, mera chain churaye

mujhe tere jaisi ladki mil jaaye to kya baat ho

aankhon mein teri chahat ka nasha

julfon mein teri khushbu ki ghata

mujhe achchhi lage taarif teri, ho

ab naam tere har saans meri

madhosh banaye, mera hosh udaye

mera dard badhaye, nas nas mein samaye

mujhe tere jaisa ladka mil jaaye to kya baat ho

mujhe tere jaisi ladki mil jaaye to kya baat ho

na mujhse kabhi takraar kare

mujhe pyar kare, bas pyar kare

naa shak mujhpe kabhi yaar kare

jo sirf mera aitbar kare

palkon pe bithaye, mere khwaab sajaye

tan mann mehakaye, meri pyas bujhaye

mujhe tere jaisi ladki mil jaaye to kya baat ho

mujhe tere jaisa ladka mil jaaye to kya baat ho

kabhi paas bulaye, kabhi chhupke sataye

mera dil dhadkaye, mera chain churaye

mujhe tere jaisi ladki mil jaaye to kya baat ho

mujhe tere jaisa ladka mil jaaye to kya baat ho

Explore this song