Roman script

mujhe maf kar ae dilruba mai shikar hu halat ka

tu hai subah ki roshanee mai hu andhera rat ka

par kat chuke ho jiske wo panchhi kabhi udta nahi 

par kat chuke ho jiske wo panchhi kabhi udta nahi

tut jata hai jo dil wo dil kabhi judta nahi

hai kabar mujhe tere pyar ki hai pata tere jajbat ka

mujhe maf kar

nakam si ye jindagi bas nam ki hai jindagi

nakam si ye jindagi bas nam ki hai jindagi

jo tere kam na aa saki kis kam ki hai jindagi

mujhse na dekha jaye hai jalna tera din rat ka

mujhe maf kar

tujhse juda hone ka gam sah na sakunga teri kasam 

tujhse juda hone ka gam sah na sakunga teri kasam 

aate hi wo jalim ghadi mera nikal jayega dam

bas aakhari hoga wo din meri namurad hayat ka

mujhe maf kar

Explore this song