Roman script

o mohabbat me hain dhadkano ka tarana 
mohabbat me hain jindagi ka fasana 
mohabbat me hain jindagi ka fasana 
mohabbat khayalo ki is anjuman me 
hakikat se milne ka hain ek bahana 
hakikat se milne ka hain ek bahana 
mohabbat me raji hansi sach chhupa hain 
mere saje dil ki yahi ab sada hain 
mohabbat khuda hain, mohabbat khuda hain 
mohabbat khuda hain, mohabbat khuda hain 
na gulshan na virane baki rahenge 
na shamme na parvane baki rahenge
koi bhi rahega na duniya me baki 
mohabbat ke afsane baki rahenge 
yahi ibtida thi, yahi inteha hain 
mere saje dil ki yahi ab sada hain 
mohabbat khuda hain, mohabbat khuda hain 
mohabbat khuda hain, mohabbat khuda hain

Song details