Roman script

mohabbat ka chota sa ek aashiyana

kisi ne banaya kisi ne mitaya

bade saukh se do dilo ka gharana

kisi ne banaya kisi ne mitaya

mujhe yad hai tera chup chup ke aana

jamane ki najro se najre bachana

jaha hum mile the wo pahla thikana 

kisi ne banaya kisi ne mitaya

tujhe yad hai humne  dekha tha sapna

kaha tha mujhe tune sapne me apna

wo sapna tha sapna hasana fasana

kisi ne banaya kisi ne mitaya

mohabbat ka chota sa ek aashiyana

kisi ne banaya kisi ne mitaya

Explore this song