Roman script

tu kya mil gayi ye, sama rangin ho gaya

sehara me jaise, khil gaya ho gul naya

ae meri jaan-e-ja, hai tujhe kya pata

tere husn ka, mujhpe nasha chha gaya

mujhpe nasha chha gaya

mujhpe nasha chha gaya

mohabbat mohabbat mohabbat ho na jaye

kayamat kayamat kayamat aa na jaye

mohabbat mohabbat mohabbat ho na jaye

kayamat kayamat kayamat aa na jaye

yu to mere pas hai tu, phir ye ahsas hai kyu

jo kabhi bujh na paye, ye kaisi pyas hai tu

mai to badal hu aisa, banke sawan jo aaye

bhig ja tu bhi dilbar, dekh chhai ghataye

ae meri jaan-e-ja, ye hame kya hua

na sahi jaye, ab to ye duriya

ab to ye duriya, ab to ye duriya

mohabbat mohabbat mohabbat ho na jaye

kayamat kayamat kayamat aa na jaye

mohabbat mohabbat mohabbat ho na jaye

kayamat kayamat kayamat aa na jaye

tune jo chu liya to, khil gayi dil ki kaliya

teri aankho me mujhko, mil gayi meri duniya

yun to lakho hasin hai, tujhsa koi nahi hai

jiski khwahish thi mujhko, janejaan tu wahi hai

ae meri jaan-e-ja, sun tera shukariya

mil gaya tere, dil me mujhe aashiyan

dil me mujhe aashiyan

dil me mujhe aashiyan

ae meri jaan-e-ja, aa gale se laga 

taaki mil jaye mujhko jami asmaan 

mujhko jami asmaan 

mujhko jami asmaan 

mohabbat mohabbat mohabbat 

kayamat kayamat kayamat 

mohabbat mohabbat mohabbat ho na jaye

kayamat kayamat kayamat aa na jaye

mohabbat mohabbat mohabbat ho na jaye

kayamat kayamat kayamat aa na jaye

tu kya mil gayi ye, sama rangin ho gaya

sehara me jaise, khil gaya ho gul naya

ae meri jaan-e-ja, hai tujhe kya pata

tere husn ka, mujhpe nasha chha gaya

mujhpe nasha chha gaya

mujhpe nasha chha gaya

mohabbat mohabbat kayamat kayamat

mohabbat mohabbat kayamat kayamat

mohabbat mohabbat mohabbat ho na jaye

kayamat kayamat kayamat aa na jaye

Explore this song