Roman script

likha hai aasmano par mohabbat ka ye afsana

mahal se sair gulshan ko chali shahjadi ruksana

chaman me jaha the hazaro gulab

wahi ek shikari bhi tha ae janab

kiya usne masum dil ka shikar

unhe ho gaya aanhko aanhko me pyar

mohabbat ek wada hai ye wada tod mat jana

mohabbat ek wada hai ye wada tod mat jana

bane ho humsafar to raaste me chhod mat jana

mohabbat ek wada hai ye wada tod mat jana

mohabbat ek wada hai ye wada tod mat jana

mohabbat ek wada hai, ruksana ruksana 

tere hoth ka aashiq tere nam ka diwana

mere dil me hai tu, meri aanhko me tu

shama banke mai jalti hu khuda hafiz mai chalti hu

mera dil sath le jana yahi kal rat fir aana

mohabbat ke do phul khilne lage 

zamane se chhupke wo milne lage

magar ek shab hua kya sabab 

wo jane jigar na aayi najar

sanam bekarar kiya intzar 

bahut der bad hua ishq shaad

wo aayi pari magar ae nasib 

na wo aan thi na wo shan thi

na shahi libaz na andaz-e-khaas

ruksana kya hua ye kya hal bana rakha hai

yahi hai rasm-e-duniya mai bagawat kar nahi sakti

kisi shahri se shahjadi mohabbat kar nahi sakti

mera anjam kya hoga jo manjure khuda hoga

juda ho jayenge hum kya, kabhi ye ho nahi sakta

zamane ke sabhi dastur ab mai tod aayi hu

wo takhto taaj wo daulat sabhi hi kuch chhod aayi hu

mohabbat ek wada hai ye wada tod mat jana

mohabbat ek wada hai ye wada tod mat jana

bane ho humsafar to raste me chhod mat jana

mohabbat ek wada hai 

mubarak ho ye aazadi peeyo ye jam shahjadi

nirala jaha ka ye andaz tha 

shikari bada hi dagabaz tha

peela kar koi nind wali sharab 

use chhodkar chal diya wo janab

dawa ka asar jab jara kam hua

khuli aankh uski bahut gham hua

khuda jane wo kho gaya tha kaha

jaha wo gaya tha wo pahuchi waha 

pada mast tha wo na tha hosh me 

kisi gair ladki ki aagosh me

haqiqat hai kya jab pata chal gaya

khuda ki kasam tan badan jal gaya

utarne laga uski aankho me khun

ke bas taan li usne banduk yu

Explore this song