Roman script

mere man ye bata de tu kis aur chala hai tu

kya paya nahi tune kya dhundh raha hai tu 

jo hai ankahi jo hai ansuni

wo baat kya hai bata mitwa

kahe dhadkane tujhse kya mitwa

ye khud se to na tu chhupa 

jivan dagar mein prem nagar mein 

aaya najar mein jab koi hai 

tu sochata hai tu puchhata hai 

jiski kami thi kya ye wahi hai 

ha ye wahi hai ha ye wahi hai 

tu ek pyasa aur ye nadi hai 

kahe nahi isko tu khulke bataye 

jo hai ankahi

teri nigahe pa gayi rahe

par tu ye soche jaau na jaau

ye jindagi jo hai nachati to 

kyu bediyo mein hai tere panv

preet ki dhun par nach le pagal

udta agar hai udne de aanchal 

kahe koi apne ko aise tarsaye

jo hai ankahi

Explore this song