Roman script

meri ulfat soyi hai yahan sone do jagana na

jagana na meri ulfat soyi hai yahan 

dil ke armaan main rakhti hun sirhane so ja 

raat bhar khwaab dekhe aaye suhane so ja 

hath chhati pe jo aa jaye to ghabrana na

meri ulfat soyi hai yahan sone do jagana na

jagana na meri ulfat soyi hai yahan 

o maza le ke mere dil ko satane wale 

o zamaane mere ye mitti ko udane wale 

mujhko thukraya hai tune ise thukrana na 

meri ulfat soyi hai yahan sone do jagana na

jagana na meri ulfat soyi hai yahan 

jane walo zara aahista yahan se jana 

ye wo kurbat hai jaha soye mera mastana 

isse kuch kah ke mere pyar ko tadpana na 

meri ulfat soyi hai yahan sone do jagana na

jagana na meri ulfat soyi hai yahan

Explore this song