Roman script

meri muniya meri muniya meri muniya 

ki ankhiyan me tu aaja 

nindiya rani aaja

meri muniya ki ankhiyan me tu aaja 

nindiya rani aaja

mitti mitti de de thapki

muniya jis se le le chapki

mitti mitti de de thapki

muniya jis se le le chapki

sukh sapno ki kaliya iske

man me aan khila ja

tu aaja nindiya rani aaja

meri muniya ki ankhiyan me tu aaja 

nindiya rani aaja

dhime dhime pawan ke jonke aaye

aaye ise jhulaye

dhime dhime pawan ke jonke aaye

madhur ragini desh prem ki

ga ga ise sunaye aaye ise jhulaye

bas jaye man me ye geet

ho jaye jivan ki jeet

bas jaye man me ye geet

ho jaye jivan ki jeet

isi jeet ka sehra iske sar aan saja ja

tu aaja nindiya rani aaja

meri muniya ki ankhiyan me tu aaja 

nindiya rani aaja

meri muniya ki ankhiyan me tu aaja 

nindiya rani aaja nindiya rani aaja

Explore this song