Roman script

meri jaan tum pe sadke ahsaan itna kar do

meri zindagi me apni chahat ka rang bhar do

meri har khushi adhuri mera har singar fika

bina pyar ke na bhaye mujhe chand ka bhi tika

mujhe pyar se saja ke 

ahsaan itna kar do

meri zindagi me apni chahat ka rang bhar do

meri jaan tum pe sadke ahsaan itna kar do

main hawa ka rukh badal du

mile pyar agar tumhara

jaha dub kar main dekhu

ho usi jagah kinara

mujhe tum gale lagake 

ahsaan itna kar do

meri zindagi me apni chahat ka rang bhar do

meri jaan tum pe sadke ahsaan itna kar do

Explore this song