Roman script

mere saamne waali khidki mein

mere saamne waali khidki mein

ek chaand ka tukda rehta hai

afsos ye hai ke vo hamse

kuchh ukhda ukhda rehta hai

mere saamne waali khidki mein

ek chaand ka tukda rehta hai

jis roz se dekha hai usko

ham shamaa jalaana bhool gaye

jis roz se dekha hai usko

ham shamaa jalaana bhool gaye

dil thaam ke aise baithe hain

kahin aana jaana bhool gaye

ab aath pahar in aankhon mein

vo chanchal mukhda rehta hai

mere saamne waali khidki mein

ek chaand ka tukda rehta hai

barsaat bhi aakar chali gayi

baadal bhi garaj kar baras gaye

barsaat bhi aakar chali gayi

baadal bhi garaj kar baras gaye

par uski ek jhalak ko ham

ae husn ke maalik taras gaye

kab pyaas bujhegi aankhon ki

din raat ye dukhda rehta hai

mere saamne waali khidki mein

ek chaand ka tukda rehta hai

afsos ye hai ke vo hamse

kuchh ukhda ukhda rehta hai

mere saamne waali khidki mein

ek chaand ka tukda rehta hai

Explore this song