Roman script

mere mehbub meri baat
tumhe kya malum
meri dhadkan mere jajbaat 
tumhe kya malum
mere nazaro ke sawalaat 
tumhe kya malum 
kaise katte hai ye din raat 
tumhe kya malum 
naam lekar kabhi ek bar pukara hota
tere awaaj ka kuch humko sahara hota
meri khamoshi bhi awaaj diya karti hai
baat muh se nahi 
najro se hua karti hai, juth
yun bhi hoti hai mulakat
tumhe kya malum 
tumhi rahte ho mere sath
tumhe kya malum 
tum mujhse baat kyu nahi karte 
darta hu kahi tum naraj na ho jao 
pyar kuch jurm nahi hai jo dara karte ho
raaz apne se chhupate ho
ye kya karte ho
lab pe aa jaye agar raaj to vo raaj nahi
tumse kah du ye mere ishq ka andaz nahi
ek diwane ke halat 
tumhe kya malum 
tumne bhadka diye jajbaat
tumhe kya malum 
mere mehbub meri baat
tumhe kya malum

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Manhar Udhas, Mala Sinha