Roman script

mere mehboob mere mehboob 

mere mehboob mujhko tu itna bata

mere mehboob mujhko tu itna bata

main kawaara marunga ya shaadhi shuda 

main kawaara marunga ya shaadhi shuda 

na kawaara mare na tu shaadi shuda 

na kawaara mare na tu shaadi shuda 

bich mein tujhko latkaake rakh de khuda 

bich mein tujhko latkaake rakh de khuda 

tum aurat jaat ho jaalim tumhaari jaat mein chakkar 

tum aurat jaat ho jaalim tumhaari jaat mein chakkar 

tumhaare din mein chakkar hai tumhaari raat mein chakkar

ho chakram hoon ke khaata hoon teri har baat mein chakkar

kabhi jasbaat chakkar mein kabhi jasbaat mein chakkar

inn tere chakkaron se bachaaye khuda

inn tere chakkaron se bachaaye khuda 

main kawaara marunga ya shaadhi shuda

main kawaara marunga ya shaadhi shuda  

na kawaara mare na tu shaadi shuda 

na kawaara mare na tu shaadi shuda 

bich mein tujhko latkaake rakh de khuda 

bich mein tujhko latkaake rakh de khuda 

aa aa hamaare chaahane waale bade rangin milte hai 

hamaare chaahane waale bade rangin milte hai 

mohabbat se nahin waakib tamaashaabin milte hai

are dil phenk hamse ishq ka izhaar karta hai

hamein maalum hai tujhase take ke sin milte hai

jiske tum na khuda uska haafiz khuda 

jiske tum na khuda uska haafiz khuda 

bich mein tujhko latkaake rakh de khuda 

bich mein tujhko latkaake rakh de khuda 

mere mehboob mujhko tu itna bata

mere mehboob mujhko tu itna bata

main kawaara marunga ya shaadhi shuda 

main kawaara marunga ya shaadhi shuda 

chali aaogi tum khinchkar main aisa haal kar dunga 

chali aaogi tum khinchkar main aisa haal kar dunga 

tere maike ko jor-e-ishq se sauraal kar dunga

agar ban jaaogi meri toh maalaamaal kar dunga

agar thukraao toh bewafa kangaal kar dunga

ha ha kangaal kar dunga

teri kismat ka aanchal phaadkar rumaal kar dunga 

teri kismat ka aanchal phaadkar rumaal kar dunga 

tere bangle ko dekar badduwa main chaal kar dunga

ha ha ha chaal kar dunga

tere kuche mein kuche mein aage kya tha bhala are haan

tere kuche mein paida iss tarah bhuchaal kar dunga

ki dehraadun ko main waadiye gadwaal kar dunga

aji gadwaal kar dunga

tere baaba pe apna jor istemaal kar dunga

tamacha ek tamacha do tamache maarkar 

main gaal usake laal kar dunga

main ik dum cash khaakar jindagi baamaal kar dunga

lagaaunga jo main thokar use footbaal kar dunga 

use footbaal kar dunga 

agar kuchh bhi na kar paaya toh itana yaad rakh jaalim

tere baaba ki baaba ki baaba ki

teri baaba ki mehfil mein main bhuk hadtaal kar dunga 

bhuk hadtaal kar dunga bhuk hadtaal kar dunga

lekin chhoti si ek arj hai ke chori chori khila dena halawa jara

ho chori chori khila dena halawa jara

main kawaara marunga ya shaadhi shuda

main kawaara marunga marunga marunga marunga

Explore this song