Roman script

aa aa aa aa, aa aa aa aa
aa aa aa, aa aa aa aa
mere jivan me kiran ban ke bikharnewaale
bolo tum kaun ho, bolo tum kaun ho
aankho aankho se mann me utarnewaale
bolo tum kaun ho, bolo tum kaun ho
kya kisi dev ke bheje huye vardaan ho tum 
kya kisi dev ke bheje huye vardaan ho tum 
kya mere pichhle janam ki koi pahchaan ho tum
dhundhta tha jise dil kya wohi mahmaan ho tum 
dhundhta tha jise dil kya wohi mahmaan ho tum 
apni muskaan se paagal mujhe karnewaali
bolo tum kaun ho, bolo tum kaun ho
mere jivan me kiran ban ke bikharnewaale
bolo tum kaun ho, bolo tum kaun ho
is tarah aaj kyon lalcha rahe ho tum mujhko
is tarah aaj kyon lalcha rahe ho tum mujhko
kidhar udake liye jaa rahe ho tum mujhko
baat woh kya hai jo samjha rahe ho tum mujhko
baat woh kya hai jo samjha rahe ho tum mujhko
chhupke chhupke mere duniya ko badalne waale
bolo tum kaun ho, bolo tum kaun ho
mere jivan me kiran ban ke bikharnewaale
bolo tum kaun ho, bolo tum kaun ho
aa aa aa aa

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Asha Bhosle, Manna Dey