Roman script

mere dulhe ki na puchho sakhi batiya 

mere dulhe ki na puchho sakhi batiya 

mere dulhe ki na puchho sakhi batiya 

na puchho sakhi batiya 

na puchho sakhi batiya 

na puchho sakhi batiya 

sataye mujhe dinbhar

sataye mujhe dinbhar, jagaye sari ratiya 

mere dulhe ki 

utha ke ghunghat ko, bade karine se 

niharte hi rah gaye, wo is nagine ko 

badan siharne laga, adhar ye kanp gaye 

magar wo the bade sayane, haal bhanp gaye 

laga ke bato me, bharam me dal diya 

na jane kab mujhe, baho me kash ke bandh liya 

main kasmasane lagi, hay ghabrane lagi 

kaha ki chhodiye to kah ke main sharmane lagi 

isi jhakjhori me dhalak gaya achraa 

kahi sindur kahi bindiya 

kahi gaya kajra 

aa jatan to kiya laakho, banka tha magar rasiya 

jatan to kiya laakho, banka tha magar rasiya 

bujhaye diyo deepak hay daiya 

bujhaye diyo deepak, lagai liyo chhatiya 

mere dulhe ki na puchho sakhi batiya 

mere dulhe ki

kahun main kaisa madhur, unhone mel kiya 

bina hi mol janam bhar ke liya mol liya 

suhag mera wo kishan kanhiya hain 

wo mere dharam karam laaj le rakhaiya hain

na itani gahrai samunder ne paayi 

piya ke pyar me payi no maine gahrai 

main khush naseeb badi, jo unka pyar mila 

unhi ke rang me hi, mera ang ang khila 

sada akvar bhare, har ghadi pyar kare 

mere aanchal me, baharo ka wo singar bhare 

aa mujh sa sukhi jagat me hoga na koi duja 

mujh sa sukhi jagar me hoga na koi duja 

wo pyar kare itna 

wo pyar kare itna, chhalak jaye ankhiya 

mere dulhe ki na puchho sakhi batiya 

mere dulhe ki na puchho sakhi batiya 

na puchho sakhi batiya 

na puchho sakhi batiya 

na puchho sakhi batiya 

sataye mujhe dinbhar, jagaye sari ratiya 

mere dulhe ki

Explore this song