Roman script

mere dildaar ka baankpan haay baankpan hoy baankpan allah allah

mere dildaar ka baankpan allah allah

chaandni se taraasha badan allah allah

dekhkar jisko hure bhi sajda kare

sajda kare ha sajda kare haay haay sajda kare

wo meri naazni wo meri naazni gulbadan allah allah

usi haseen mehjabin ki avan allah allah

phul se honth resham sa tan allah allah

mere dildaar ka baankpan allah allah

woh kankhiyo se unka hame dekhna 

ha hame dekhna hay hame dekhana hay

jabse use dekha hai deewaano si haalat hai

betaab hai har dhadkan bechain tabiyat hai

woh sar se kadam tak ik mehki hui jannat hai

chhune se badan maske is darja nazaakat hai

ukhsaar karishma hai raftaar kayaamat hai

duniya mein wajud uska kudrat ki inaayat hai

wo jispe karam kar de woh saahida kismat hai

wo kankhiyo se unka hame dekhana 

ha hame dekhana haay hame dekhana

tir tirchhe ho tir tirchhe chalaane ka fan allah allah

tir tirchhe chalaane ka fan allah allah

mere dildaar ka baankpan allah allah

saadgi mein chhupa shokhiyon ka sama 

shokhiyon ka sama shokhiyon ka sama

jis husn ke jalwo par dil hamne lutaaya hai

wo husn zamino par takdir se aaya hai

kudrat ne badan uska fursat se banaaya hai

sau tarah ke rango se har ang sajaaya hai

ghanghor ghhataao ko zulfon mein basaaya hai

bijli ke tabassum ko nazaron mein bulaaya hai

mehke huye phulon ko saanson mein rachaaya hai

saadgi mein chhupa shokhiyon ka sama 

shokhiyon ka sama shokhiyon ka sama 

shokhiyon mein shokhiyon mein 

woh sharmilapan allah allah

shokhiyon mein woh sharmilapan allah allah

mere dildaar ka baankpan allah allah

gaalon mein gulaabipan aankhon mein sharabipan

gardan ka bukham haay honto ka woh nam haay

daali si kamar tauba barchhi si nazar tauba

barshi huyi baahein hain makhmur nigaahein hai

jaalim hai haya uski kaatil hai ada uski

masti se bhari hai woh ik sabj pari hai woh

chaandi ke khilaune si phulon ke bichhaune si  

chaandi ke khilaune si phulon ke bichhaune si

gaalib ki gajhal jaisi mumtaj mehal jaisi

karke deedaar yaar aaj dil jhum utha 

aaj dil jhum utha aaj dil jhum utha 

noor se bhar gaye ha noor se bhar gaye 

jaano tan allaah allaah

noor se bhar gaye jaano tan allaah allaah

mere dildaar ka baankpan haay baankpan 

hoy baankpan allah allah allah allah allah allah

Explore this song