Roman script

mere angna me jhumte gaate

phul barsate aati bahar

pahli pahli baar

mere angna me jhumte gaate

phul barsate aati bahar

pahli pahli baar

khole mora ghunghta purwayi

ka karu main ka karu

dhire dhire sajne lagi hai angnai

ka karu main ka karu

ho maine dekha hai

ha maine dekha hai banwarepan me

aaj darpan me apna singar

ho pahli pahli baar

meri bagiya me khilega koi sapna

dekhna ha dekhna

koi mera banke kahega mujhe apna

dekhna ha dekhna

chand utrega

chand utrega meri raaho me

ha ha meri baaho me khelega pyar

ho pahli pahli baar

kaliyo se bhi tera mukhda hai pyara

laadli meri laadli

meri mamta ko hai tera hi sahara

laadli meri laadli

jyot naino ki

jyot naino ki banke aayi hai

ha ha tu hi layi hai jivan me pyar

ho pahli pahli baar

mere angna me jhumte gaate

phul barsate aati bahar

pahli pahli baar

Explore this song