Roman script

mera lal bane mahipal
parja ki shan jagat ka pyara
jiye jug jug raaj dulara
jiye jug jug raaj dulara
mera lal bane mahipal
parja ki shan jagat ka pyara
jiye jug jug raaj dulara
jiye jug jug raaj dulara
mere chand ko chand bana ke to dekho
dekhe aur sharmaye
kajal ka main tilak karu
parbhu kahi najar nahi lag jaye
ye madhur madhur muskaan 
luta du paraan ye tan man wara
jiye jug jug raaj dulara
jiye jug jug raaj dulara
kal tak jo baho mein jhula
ab kandho pe jhule o ab kandho pe jhule 
mamta ki chhaya mein 
mera laal fale aur fule 
parbhu mera laal fale aur fule 
ye amar bel sa badhe
gagan par chadhe aankh ka tara
jiye jug jug raaj dulara
jiye jug jug raaj dulara

Song details

Song video

Watch on YouTube