Roman script

mera dil kisne liya

haye mera dil kisne liya naam batau kiska 

mai hu ya aap hai ghar me koi aaya na gaya

kho gaya dil to mera bhi 

kho gaya dil to mera bhi mai kise chor kahu

mai hu ya aap hai ghar me koi aaya na gaya

humko mehman bana kar ke dil ko lut liya

pharaz mehma nawaji ka ada khub kiya

kya kare tumse gila humse bachaya na gaya

kho gaya dil to mera bhi mai kise chor kahu

mai hu ya aap hai ghar me koi aaya na gaya

aap aaye hamare ghar ye meharbani hai

dil to kya aapke kadmo me zindagani hai 

raze dil khul hi gaya humse chhupaya na gaya

o mera dil kisne liya naam batau kiska 

mai hu ya aap hai ghar me koi aaya na gaya

humne mana ke aap humse pyar karte hai

aap dil chor pe kyu eatbar karte hai

phir na kahna ke hume pehle bataya na gaya

kho gaya dil to mera bhi mai kise chor kahu

mai hu ya aap hai ghar me koi aaya na gaya

o mera dil kisne liya naam batau kiska 

mai hu ya aap hai ghar me koi aaya na gaya

Explore this song