Roman script

mehrma ve ranjhanave, mehrma ve dholna ve
jaan jaan kahke meri jaan len waaliya 
maula teri khair kare o
mehrma ve ranjhanave, mehrma ve dholna ve
daaman-e-dil me hai itni mohabbate 
saanse rasta dhundhti hai aane jaane ke liye
ho ho baaho ki chaav me, kitna sukun hai 
labz dhundu mai kaha se ye batane ke liye
hui mai hui baanwari 
o mai to hui baanwari 
mehrma ve ranjhanave, mehrma ve dholna ve
man ki munder par, deeya jale pyar ka
chain ko bhi tumne di hai meethi si bechainiya
o ishq ke bhesh me, tum yu mile hume
os jaise so rahi ho phulo ke aagaosh me
hui mai hui baanwari 
o mai to hui baanwari 
mehrma ve ranjhanave, mehrma ve dholna ve
jaan jaan kahke meri jaan len waaliya 
maula teri khair kare o
mehrma ve

Song details

Song video

Watch on YouTube