Roman script

o bandeya o bandeya o.bandeya o bandeya

teri manzilein hui gumshuda

phir bhi raasta hai tera mehermaan

o meer-e-kaarwan,teri raahon pe rawaan

ki mere naseebon mein ho koi to duaa o meer-e-kaarwan

le chal mujhe wahaan ye raat bane jahaan subah

meer-e-kaarwan o meer-e-kaarwan

o bas kar dil ab bas kar bhi.

ho.bas kar dil bas kar bhi uss raah jaana hi nahi

pal do pal ka saath safar phir hogi judaa rehguzar

nadiya thaam ke jo behte rahe milte hain woh kinare kahaan

o meer-e-kaarwan,teri raahon pe rawaan

ki mere naseebon mein ho koi to duaa

o meer-e-kaarwan le chal mujhe wahaan

ye raat bane jahaan subah meer-e-kaarwan

o meer-e-kaarwan o bahaar kyun tere darr na aati

hai kya bharam jo nazar dikhati

ab aur kitni ye raat baaki hai raat baaki,ye raat baaki

nighal na jaayein mujhe ye saaye

gale mein ghut'ti hain sard aahein

bata o bande kyun maat khaye

kyu maat khaye.haan.laage na dil ab,laage nahi

haan.laage na dil ab,laage nahi

mere pairon tale nikli jo zameen

iss basti mein tha mera ghar

usey kis ki lagi phir nazar

woh jo sapno ka tha kaafila aisa jhulsa ki ab hai duaan

o meer-e-kaarwan le chal mujhe wahaan

ye raat bane jahaan subah meer-e-kaarwan

o meer-e-kaarwan chal akela raahi

chal chal akela raahi haafiz tera ilaahi

haafiz tera ilaahi chal akela raahi

chal chal akela raahi haafiz tera ilaahi

haafiz tera ilaahi chal akela raahi

chal chal akela raahi haafiz tera ilaahi

haafiz tera ilaahi chal akela raahi

chal chal akela raahi haafiz tera ilaahi

haafiz tera ilaahi

Explore this song