Roman script

mausam bhi yaar hain, gulshan gharbaar hain

barkha ka saath hain, kaisi saugaat hain

ab jaye, kab jaye kaise bolo

jinke sath dil lagta hain, unke sath ho lo 

jana kahan tha humko, kahan hum chal diye

choti choti hasrato mein hum ghul mil gaye

soch ke kya nikle the, ye kya hum kar gaye

jo kahte wo na karte na inme rah gaye

rab ye jane ab kya hoga rasta hain mushkil

kis chaurahe pe khade hain yaar

kitne armaan hain, kaise anjaam hain

barso ka kaam hain, lamho pe naam hain

der se aaye jaise aaye bolo

jinke sath dil lagta hain, unke sath ho lo 

mitti ka bartan ho, bartan mein ho sona

sone ke bartan mein mitti aisa nahi hona

aasman agar chhath hain, ye dharti bichhona

ambar ko de saya aur dharti ka kya kona

rab ye jane kaisa hota kahna hain mushkil

hain us paar bhi gharbaar yaar

Explore this song