Roman script

aa rira ru aa rira ru o o mata ke ladle so ja tu

aa rira ru aa rira ru o o mata ke ladle so ja tu

mata kaun pita kaun mata kaun pita kaun

tujhe kya pata dekha nahi suna nahi naam kisi ka

mata kaun pita kaun tujhe kya pata 

dekha nahi suna nahi naam kisi ka

jhule me jhulaya nahi kisi ne mujhe

sine se lagaya nahi kisi ne mujhe

mata kaun pita kaun tujhe kya pata 

dekha nahi suna nahi naam kisi ka mata kaun pita kaun

aa rira ru aa rira ru o o mata ke ladle so ja tu

aa rira ru aa rira ru o o mata ke ladle so ja tu

ma ka dudh mila nahi pine ke liye

ma ka dudh mila nahi pine ke liye

maine apni aansu piye jine ke liye jine ke liye

jane kab aaya gaya bachpan mera

bhukha pyasa naga khali jiwan mera

mata kaun pita kaun mata kaun pita kon

tujhe kya pata dekha nahi suna nahi naam kisi ka

jivan me maine ki hai kai choriya

jivan me maine ki hai kai choriya

par mai chura na saka ma ki loriya ma ki loriya

jua khela daru piya sab kuch kiya 

phir bhi mai ye gam bhula na saka

mata kaun pita kaun mata kaun pita kon

tujhe kya pata dekha nahi suna nahi naam kisi ka

kachare ke dhabe me giraya gaya tha 

kachare ke dhabe me giraya gaya tha

mai kachare ke dhabe se uthaya gaya tha uthaya gaya tha 

mere man me pyar nahi kahar hai bhara

mere tan me khun nahi jahar hai bhara

mata kaun pita kaun tujhe kya pata 

dekha nahi suna nahi naam kisi ka

jhule me jhulaya nahi kisi ne mujhe

sine se lagaya nahi kisi ne mujhe

mata kaun pita kaun mata kaun pita kon

mata kaun pita kaun mata kaun pita kon

Explore this song