Roman script

mastaana piye jaa yun hi mastaana piye ja

paimaana to kya chiz hai mainkhaana piye ja

kar garq-e-may-o-jaam gam-e-gardish-o-ayyaam

ai dil-e-naakaam mayakhaana piye ja

mayanoshi ke aadaab se aagaah nahi tu

jis tarah kahe saaqi-e-mayakhaana piye ja

is maqr ki basti me hai masti hi se hasti

diwaana ban aur baatil-e-diwaana piye ja

mayakhaane ke hagaame hai kuchh der ke mehamaan

hai subah qarib akhtar diwaana piye ja

mayakhaane ke hagaame hai kuchh der ke mehamaan

hai subah qarib akhtar diwaana piye jaa

Explore this song