Roman script

marne ke bad hamari yaad me aansu bahate hai 

nawazish hai ye unki aaj wo

do gul chadate hai

mazare ishq to kaanto ke bhi

kabil nahi hota, allah 

wo sar khole hamari

kabr pe diwana war aaye 

are isi ko maut kahte hai to ya rab

bar bar aaye

ke aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke

aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke

mujhse nasib achhe hai

mujhse nasib achhe hai

are mere mazar ke

aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke

aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke

aaye hai, aaye hai, are aaye hai, aaye hai

aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke

aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke

ab to wo bhi ishq ke maare najar aane lage

are unki bhi nind ud gayi 

tare najar aane lagi

are dil paresha, are aankh veera

ha ha julf barham, lab khamosh

ab to wo kuch aur bhi pyare najar aane lage

aake hamari kabar pe tune jo muskura diya

bijli chamak ke gir padi sara kafan jala diya

haye chain se so raha tha mai, allah

chain se so raha tha mai

odhe kafan mazar me

aur yaha bhi satane aa gaye

kisne pata bata diya

yaha bhi satane aa gaye

kisne pata bata diya

aaye hai, aaye hai, are aaye hai, aaye hai

aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke

aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke

mujhse nasib achhe hai

mujhse nasib achhe hai

mere mazar ke

aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke

aaye hai wo mazar pe ghunghat utaar ke

bijli kabhi giri, kabhi sayyad aa gaya

hamne to char din bhi na dekhe bahar ke

hamne to char din bhi na dekhe bahar ke

sayyad tere hukme rihai ka shukariya

hum to kafas me kaat chuke din bahar ke

hum to kafas me kaat chuke din bahar ke

hum to kafas me kaat chuke din bahar ke

are wada wo kar gaye the

suno mujhse sham ka

wada wo kar gaye the

suno mujhse sham ka

to kaise katenge char pahar intzar ke

to kaise katenge char pahar intzar ke

to kaise katenge char pahar intzar ke

kiya tha wada ke aayenge wo charag jale

tamam raat charago se dil ke daag jale

ja dekha tera wada, haye re tera wada

ja dekha tera wada, haye re tera wada

ja dekha tera wada, ha dekha tera wada

ja dekha tera wada, haye re tera wada

ja dekha tera wada, haye re tera wada

ke haye, ke haye kaise kate umariya 

aas hi aas me, biti jaye 

hamre nayan darsh bin tarse

tum bin balam kachhu na suhaye

tori preet ke karan mose

ruthe apne paraye

sab ruthe, ek tum mat ruthiyo

tum ruthio to gazab ho jaye re

ja dekha tera wada, haye re tera wada

ja dekha tera wada, haye re tera wada

ja dekha tera wada, ha dekha tera wada

ja dekha tera wada, haye re tera wada

ja dekha tera wada, haye re tera wada

ja dekha tera wada, haye re tera wada

Explore this song