Roman script

marne ki duaye kyu maangu 

jeene ki tamanna kaun kare, kaun kare 

ye duniya ho ya wo duniya

ab khwahishe duniya kaun kare, kaun kare 

marne ki duaye kyu maangu 

jo aag lagai thi tumne

jo aag lagai thi tumne

usko to bujhaya ashko ne

usko to bujhaya ashko ne

jo ashko ne bhadkai hain

us aag ko thanda kaun kare, kaun kare 

us aag ko thanda kaun kare, kaun kare 

marne ki duaye kyu maangu 

jab kashti saabit-o-saalim thi

jab kashti saabit-o-saalim thi

sahil ki tamanna kisko thi

sahil ki tamanna kisko thi

ab aisi shikasta kashti par 

sahil ki tamanna kaun kare, kaun kare 

sahil ki tamanna kaun kare, kaun kare 

marne ki duaye kyu maangu

Explore this song