Roman script

ik hath me chingariya ik hath me saaz hai

hansne ki hai aadat hume har gam pe bhi naz hai

aaj apne tamashe pe mehfil ko karke rahenge fida

jab talak na kare jism se jaan hogi nahi ye juda

manzur-e-khuda manzur-e-khuda anjaam hoga humara jo hai

manzur-e-khuda manzur-e-khuda manzur-e-khuda

manzur-e-khuda manzur-e-khuda

tute sitaron se roshan hua hai nur-e-khuda

ho char din ki ghulami jism ki hai salami

ruh to muddaton se aazad hai

ho hum nahi hai yaha ke rehne wale jahan ke

wo sheher aasman me aabad hai

ho khilte hi ujadna hai milte hi bichhadna hai

apni to kahani hai ye

kagaz ke shikare me dariya se guzarna hai

aisi zindagani hai ye

zindagani ka humpe jo hai karz kar ke rahenge ada

jab talak na kare jism se jaan

manzur-e-khuda manzur-e-khuda anjaam hoga humara jo hai

manzur-e-khuda manzur-e-khuda manzur-e-khuda

manzur-e-khuda manzur-e-khuda

tute sitaron se roshan hua hai nur-e-khuda

baba lauta de mohey gudiya mori angana ka jhulna bhi

imli ki daar wali muniya mori chandi ka painjna bhi

Explore this song