Roman script

man ki bat batau, main man ki bat batau
kya kya bat uthat man more 
kya kya bat uthat man more
sab kah kar samajhau main man ki bat batau
phul banu phul banu
phulan ang mahku bansi banakar gau
param punit prabhat banu main jagu aur jagau
nipat suhani dhup banu main jagu aur jagau
main man ki bat batau
jag banu aakash sajau tare roj jalau
lahar banu pal pal laharau badal ban jag chhau 
lahar banu pal pal laharau badal ban jag chhau
tu badal kaa rup bane main chatak rup dhar aau 
tu badal kaa rup bane main chatak rup dhar aau 
sukha pyasa khet banu main, sukha pyasa khet banu main
pal pal tujhe bulau, main man ki bat batau
main man ki bat batau 
mitha git banu jharane ka nit nit sunat suhau 
mitha git banu jharane ka nit nit sunat suhau
aasha ka sapna bankar, aasha ka sapna bankar
man tute jod dikhau, main man ki bat batau
main man ki bat batau

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Kundan Lal Saigal, Uma Shashi