Roman script

manmaani se hargiz na daro, kabhi shaadi na karo 

manmaani se hargiz na daro, kabhi shaadi na karo

are marzi hai, aaj kahi baahar khaana khaaye 

vo kahegi, nahi sahab thik aath baje ghar wapas aa jaaye

kitaab liye haath me aap chain se baithe hai 

vo kahegi, hamse ruthe hai

kabhi kisi bhi nari se kar lo, do baate 

vo kahegi, kya inhi se hoti hai chhup ke mulaqaate? 

are, tauba bevaqufi ki hai shaadi intaha

are, aurat apna soche auro ki nahi parvaah 

kyo thik nahi kaha maine

jo ji mai aaye vo karo kabhi shaadi na karo 

manmaani se hargiz na daro, kabhi shaadi na karo

zara sochiye aaram se aap ye jiwan ji rahe hai

pasand ka kha rahe, pasand ka pi rahe hai

achcha khasa ghar hai aapka lekin kya kare

aap se juda hai shauhar begam sahab ka

aate hi kahe suniye ji har chiz ko badlo

pehle parde fir sofa fir apna huliya badlo

aji maana tanhai se kabhi dil ghabraayega

jivan sathi ki zarurat mehsus karaayega

lekin is ghabaraahat me jo shadi kar baithe

wo umr bhar pachhataayega

jite ji are bhai na maro kabhi shadi na karo

manmaani se hargiz na daro

kabhi shaadi haa kabhi shaadi, na baaba na

Explore this song