Roman script

ankahi ansuni, baato ka madhu 

mantar me dhaal ke

sukh ka anubhaw karo

yu hi sukh sapno ke, deep baal ke

kuch batane ko

kuch batane ko, kuch chhupane ko ho

bela kahne ki, fir na aane ko ho

kya ho, man aise me jo kah de

abhi nahi, abhi nahi, fir kabhi

man ki baat jab, hotho pe aane ko ho

kalpana kya kare 

yadi kahne wala, maun sadh le

drishthi dekhe kaise 

do naino ko jab laz bandh le

dhairy ka bandh

dhairy ka bandh tut jane ko ho

aur fir bhi na, man batane ko ho

kab tak, yuhi kahti rahogi

abhi nahi, abhi nahi, fir kabhi

man ki baat jab, hotho pe aane ko ho

Explore this song