Roman script

ye hai wo darbar jo mayuso ki aas bandhaye

tode jo so bar tauba wo bhi mafi paye

makhdum shah baba mere makhdum shah baba

dar pe sawali aaye madad ko aaja

makhdum shah baba mere makhdum shah baba

dar pe sawali aaye madad ko aaja

ya makhdum shah baba mere ya makhdum shah baba

sath jo mera do tak chadar jo bhi chadane aaye

shah baba ki barkat se wo sari murade paye

sabke liye hai khula tera darwaja

dar pe sawali aaye madad ko aaja

ya makhdum shah baba mere ya makhdum shah baba

baba teri rahamdili ki jag me dhum machi hai

jinki jholi khali hai tune unki jholi bhari hai

baba teri rahamdili ki jag me dhum machi hai

jinki jholi khali hai tune unki jholi bhari hai

waliyo me bade wali hai mere baba

dar pe sawali aaye madad ko aaja

ya makhdum shah baba mere ya makhdum shah baba

karte hai dunia me hukumat ye bambai ke badsah

rasta jo bhule hue hai unko dikhaye rasta

har besahare ka hai tu hi sahara

dar pe sawali aaye madad ko aaja

ya makhdum shah baba mere ya makhdum shah baba

baba ke bachpan ka kissa tumhe sunata hu

ma ka darja kya hota hai ye batlata hu

ek rat ko maa ne uthkar bete se pani manga

baba jab uthkar pani laye to soya hua maa ko paya

bete ne ma ko na jagaya pani lekar khade rahe

maa ki subah jab aankh khuli bete ko dekha hairat se 

maa ne pucha pani lekar kab se khada hai tu bete

aapne jab pani manga tha tab se hi baba bole

bete ki kidhmat ko dekh kar maa ne usko chum liya

pyar se sar pe hath rakha or nam unhe makhdum diya

maa ki duaye lekar hi bete ka itna nam hua

kabhi na maa ka dukhana dil paygam yahi hai baba ka

dar pe sawali aaye madad ko aaja

ya makhdum shah baba mere ya makhdum shah baba

dar pe sawali aaye madad ko aaja

ya makhdum shah baba mere ya makhdum shah baba

Explore this song