Roman script

nat-khat nat-khat jamuna ke tath par 

kuch toh churaye haye maiyya

dil churaye, neendh churaye, chain churaye haye maiyya

kaise main jaaun ghar apne sab laaj sharam main chodhi re

kaise kahun kis nat-khat ne kiya maakhan chori re

maiyya yashoda mori gagri se jamuna ke pul par

maakhan haan koi de maakhan chura le gaya

ho maiyya yashoda kaise jaaun ghar jamuna ke pul par

maakhan haan koi de maakhan chura le gaya

mori baanh modi nat-khat re

kare dil ko jodi nat-khat re

mori gagri phooti nat-khat re

main bojh se chhooti nat-khat re

mori thaame kalai us kinaare le gaya

ho maiyya yashoda sacch kehta hoon main jamuna ke pul par

maakhan ki gagri se maakhan bachane gaya

ho maiyya yashoda mori gagri se jamuna ke pul pe

maakhan haan koi de maakhan chura le gaya

ho suna tha ik din maine jamuna tath par chalte chalte

kisi gopi ko beth akele rote raina dhalte

maine socha ke meri maiyya se main kya bolunga

kahe na roka uss roti goriya ke dil ko chalte

haan maakhan toh churaya, par usko bhi sikhaya

ke tu bhi toh thoda sa chak le bhai

oo maai hum dono phir jaa baithe uss jamuna ke pul par

maakhan hum mil ke, re maakhan chata ho gaya

oo maiyya yashoda mori gagri se jamuna ke pul pe

maakhan haan koi de maakhan chura le gaya

ho maahi mohe laaj aave kaahe main ro ro karti thi

tu hi maakhan chori main beth ke bas aahein bharti thi

phir tere nat-khat ne ik din mohe yeh raaz bataya

ho phir tere nat-khat ne ik din mohe yeh raaz bataya

chori hota tha maakhan kyun ke choron se darti thi

jo maakhan jam ke khaye, toh kya koi churaye

toh chakh le aur chakha le thoda maai

ho maai tore nat-khat ko maine hi jamuna ke pul pe

maakhan khilaaya re maakhan mera ho gaya

maiyya yashoda sach kehta hun main jamuna ke pul par

maakhan haan gori ko maakhan khilane gaya

nat-khat nat-khat jamuna ke tath par 

kuch toh churaye haye maiyya

dil churaye, neendh churaye, chain churaye haye maiyya

kaise main jaaun ghar apne sab laaj sharam main chodhi re

kaise kahun kis nat-khat ne kiya maakhan chori re

ho maiyya yashoda, ho maiyya yashoda

ho maiyya yashoda mori, maiyya yashoda mori 

ho maiyya yashoda sacch kehta hoon main jamuna ke pul par

maakhan ki gagri se maakhan bachane gaya

nat-khat nat-khat jamuna ke tath par ho maiyya yashoda

nat-khat nat-khat jamuna ke tath par ho maiyya yashoda

nat-khat nat-khat jamuna ke tath par 

kuch toh churaye haye maiyya

dil churaye, neendh churaye, chain churaye haye maiyya

kaise main jaaun ghar apne sab laaj sharam main chodhi re

kaise kahun kis nat-khat ne kiya maakhan chori re

Explore this song