Roman script

maine hawa ke paron pe likha hai

deewaane dil ka fasaana

tune padha ke nahi jaane jaana

milke mujhe batlaana

phulon mein taaron mein, saare najaaron mein

aankhon ne dekha hai chehra tera

maine hawa ke paron pe likha hai

deewaane dil ka fasaana

tune padha ke nahi jaane jaana

milke mujhe batlaana

maine khayaalon ka jaha basaaya

raaton ko khwaabon mein tujhe chhupaya

man ke daricho mein tujhe sajaaya

jaane tu jaane na ho

yaadon ki maine tasvir banaayi

tujhse kahi na har baat chhupaayi

sehti rahi chup chaap judaayi, maane tu maane na

tere hijaab ki khili khili khili hai chaandani

tere shabaab ki saji saji saji hai raagini

kya karu, kya karu jine na deti hai teri ada

maine hawa ke paron pe likha hai

deewaane dil ka fasaana

tune padha ke nahi jaane jaana

milke mujhe batlaana

kitni haseen kaaynaat hogi

dilkash badi ye raat hogi

socha nahi tha mulaakaat hogi

maine to jaane jaan

masti mein duba hai sama sharaabi

hone laga aalam gulaabi

aaye na chain kahin jara bhi, behke mere armaan

raha kareeb bhi jara jara jara sa faasla

na tuta tutke jara jara jara sa silsila

aa gaye paas hum

saanson mein mehki hai teri wafa

maine hawa ke paron pe likha hai

deewaane dil ka fasaana

tune padha ke nahi jaane jaana

milke mujhe batlaana

phulon mein taaron mein, saare najaaron mein

aankhon ne dekha hai chehra tera

Explore this song