Roman script

Main yeh soch ke uske dar se utha tha

Ki woh rok legi mana legi mujhko

Hawaaon mein lehraata aata tha daaman

ki daaman pakad ke bitha legi mujhko

Qadam aise andaaz se uth rahe the

Ki aaawaz deke bula legi mujhko

Magar usne roka na usne manaya

Na daaman hi pakda, na mujhko bithaya

Na aawaaz hi di, na waapas bulaya

Main aahista aahista… badhta hi aaya

Yahaan tak ki us se juda ho gaya main

Yahaan tak ki us se juda ho gaya main

Juda ho gaya main

Juda ho gaya main

Juda ho gaya main

Juda ho gaya…..

Explore this song