Roman script

mai shaayar to nahi

mai shaayar to nahi, magar ai hasi

jabse dekha maine tujhko, mujhko shayari aa gai

mai shaayar to nahi, magar ai hasi

jabse dekha maine tujhko, mujhko shayari aa gai

mai aashiq to nahi, magar ai hasi

jabse dekha maine tujhko, mujhko aashiqi, aa gai

mai shaayar to nahi

pyaar kaa naam maine suna tha magar

pyaar kya hai ye mujhko nahi thi khabar

pyaar kaa naam maine suna tha magar

pyaar kya hai ye mujhko nahi thi khabar

mai to uljha raha uljhano ki tarah

dosto me raha dushmano ki tarah

mai dushman to nahi

mai dushman to nahi, magar ai hasi

jabse dekha maine tujhko, mujhko dosti aa gai

mai shaayar to nahi

sochata hu agar mai dua maangata

haath apne uthakar mai kya maangata

sochata hu agar mai dua maangata

haath apne uthakar mai kya maangata

jab se tujhse muhabbat mai karne laga

tab se aise ibaadat mai karne laga

mai qaafir to nahi

mai qaafir to nahi, magar ai hasi

jabse dekha maine tujhko, mujhko bandagi aa gai

mai shaayar to nahi, magar ai hasi

jabse dekha maine tujhko, mujhko shayari aa gai

mai shaayar to nahi

Explore this song