Roman script

main jab bhi akeli hoti hu

main jab bhi akeli hoti hu, tum chupke se aa jaate ho

aur jhaank ke meri aankho me, bite din yaad dilaate ho

bite din yaad dilaate ho

mastaana hawa ke jhonko se har baar wo parde ka hilna

parde ko pakadne ki dhun me do ajnabi haatho ka milna

aankho me dhua sa chha jaana, saanso me sitaare se khilna

bite din yaad dilaate ho, bite din yaad dilaate ho

mud-mud ke tumhaara raste me takna wo mujhe jaate-jaate

aur mera thithak kar ruk jaana chilman ke qarib aate-aate

nazro ka taras kar rah jaana ek aur jhalak paate-paate

bite din yaad dilaate ho, bite din yaad dilaate ho

barsaat ke bhige mausam me

barsaat ke bhige mausam me, sardi ki thitharti rato me

pahro wo yu hi baithe rahna haatho ko pakadkar haatho me

aur lambi lambi ghadiyo ka kat jaana baato baato me

bite din yaad dilaate ho, bite din yaad dilaate ho

ro-ro ke tumhe khat likhti hu

ro-ro ke tumhe khat likhti hu aur khud padhkar ro leti hu

haalaat ke tapte tufaan me jazbaat ki kashti kheti hu

kaise ho kahaan ho kuchh to kaho

kaise ho kahaan ho kuchh to kaho main tum ko sadaaye deti hu

main jab bhi akeli hoti hu

main jab bhi akeli hoti hu, tum chupke se aa jaate ho

aur jhaank ke meri aankho me, bite din yaad dilaate ho

bite din yaad dilaate ho

Explore this song