Roman script

main hawaa main yahaan 

main wahaan Har jagaah 

khidakiyon pe milun 

main tujhe har subah

main hawaa mere bin zindagi hai kahaan

saanson me, hai teri meri daastaan

panchhiyon se main kehti hun 

hai mera aasmaan

phir bhi main to yahaan, tanhaa rehti hoon

main hawaa main yahaan 

main wahaan Har jagaah 

khidakiyon pe milun 

main tujhe har subah

main hawaa mere bin zindagi hai kahaan

saanson me, hai teri meri daastaan

chhulun main teri nindon ko

zara main bhi jagun, tu bhi jage yahaan

hai thami jo patto pe nami

mere hi aansu hai

mera hi dard hai 

hai kuchh aur bhi nahin

main hawaa main yahaan 

main wahaan Har jagaah 

khidakiyon pe milun 

main tujhe har subah

main hawaa mere bin zindagi hai kahaan

saanson me hai teri meri daastaan.

Explore this song