Roman script

main ek pyasi khali gagar 
wo ek jal thal gahara sagar 
gagar me sagar na samaya 
maine kaisa dhokha khaya 
main kaisi diwani, ban gayi prem kahani
main kaisi diwani, ban gayi prem kahani
prem kahani, ban gayi prem kahani 
ye ahat ye dastak kaisi 
dil ke ander dhak dhak kaisi 
ye ahat ye dastak kaisi 
dil ke ander dhak dhak kaisi 
aur hain koi ya wo aaya 
mushkil se tha jise bhulaya 
aai yaad purani 
ban gayi prem kahani 
prem kahani, ban gayi prem kahani 
nachu na to aur karu kya 
raou na to aur karu kya 
darpan se sharmane wali 
ban gayi naachne gane wali 
apni prem kahani 
ye meri prem kahani 
prem kahani ye meri prem kahani

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Kavita Krishnamurthy, Sadhana Sargam