Roman script

Hmm hmm…

Main ek bhanwra chhote baagiche ka

Maine ye kya kar daala

Jungle se aati khushboo lapakne gaya

Ho gaya laapata

Kya Banunga main ek din sitara

Ya rahunga main bechara

Main ek bhanwara chhote baagiche ka

Maine ye kya kar dala

Ek din main nikla hadon se

Uljha kisi ki laton se

Uski nazar ki damak se

Chundhiya gaya main chamak se

Yun hosh maine gawaya

Kuch bhi samajh mein na aaya

Udna main bhool gayaa

Pankho se nikli hawaa

Wo aisa bhaaya ki mann mein samaya

Haan mujhko pyaar huaa

Main ek bhanwra chhote baagiche ka

Maine ye kya kar daala

Kahaan gaya main kahaan se

Bekhud huaa do jahaan se

Ab sochna bhi manaa hai

Bechainiya toh gunaah hai

Khud se hi dil poochta hai

Karoon kya na soojhta hai

Itna samajh mein hai aaya

Mere sang nahi mera saaya

Maine kya paaya kya maine gawaya

Haan maine ki ghalatiyaan

Main ek bhanwra chhote bagiche ka

Maine ye kya kar daala

Jungle se aati khushboo lapakne gaya

Ho gaya laapata

Kya Banunga main ek din sitara

Ya rahunga main bechara

Main ek bhanwra chhote baagiche ka

Maine ye kya kar daala

Explore this song