Roman script

main chala, main chala, iss gali uss gali

iss dagar uss dagar, iss taraf uss taraf

saath mere chale jindagi ka safar

main chala, main chala, iss gali uss gali

iss dagar uss dagar, iss taraf uss taraf

saath mere chale jindagi ka safar

main chala, main chala

ajanabi raaste, ajanabi hai jahaan

main kaha se kaha aa gaya hoon yahaan

ajanabi raaste, ajanabi hai jahaan

main kaha se kaha aa gaya hoon yahaan

saat rango ki hai teri duniya hasin

hai ujaala kahin, toh andhera kahin

hai kahin shaam toh kahin hai seher

main chala, main chala

kaisi hai uljhane, kaise haalaat hain

dil mein umade yeh kaise jajbaat hai

kaisi hai uljhane, kaise haalaat hain

dil mein umade yeh kaise jajbaat hai

hai duwaan hi dhunwan raaston ke nishaan

har kadan par mere hausale hai jawaan

meri manjil mujhe aa rahi hai najar

main chala, main chala, iss gali uss gali

iss dagar uss dagar, iss taraf uss taraf

saath mere chale jindagi ka safar

main chala, main chala

Explore this song