Roman script

phirte hain kab se darbadar

ab is nagar, ab us nagar

ek doosre ke humsafar

main aur meri awargi, main aur meri awargi

main aur meri awargi, main aur meri awargi

na ashna har rehguzar

na meherban har ek nazar

jaye to ab jaane kidhar

main aur meri awargi, main aur meri awargi

main aur meri awargi, main aur meri awargi

hum bhi kabhi aabad the

aise kahan barbaad the

hum bhi kabhi aabad the

aise kahan barbaad the

befikr the aazad the

befikr the aazad the

masroor the dilshad the

masroor the dilshad the

wo chal aisi chal gaya

hum bujh gaye, dil jal gaya

nikle jala kar apna ghar

main aur meri awargi, main aur meri awargi

main aur meri awargi, main aur meri awargi

wo maahevash wo maaheru

wo maahekaamil hubahu

wo maahevash wo maaheru

wo maahekaamil hubahu

thi jiski baate kubaku

thi jiski baate kubaku

usse ajab thi guftgu

usse ajab thi guftgu

phir yu hua wo kho gayi

aur mujhko zid si ho gayi

layenge us ko dhundh kar

main aur meri awargi, main aur meri awargi

main aur meri awargi, main aur meri awargi

ye dil hi tha jo seh gaya

wo baat aisi keh gaya

ye dil hi tha jo seh gaya

wo baat aisi keh gaya

kehne ko phir kya reh gaya

kehne ko phir kya reh gaya

ashqo ka dariya beh gaya

ashqo ka dariya beh gaya

jab keh ke wo dilbar gaya

tere liye main mar gaya

rote hain usko raat bhar

main aur meri awargi, main aur meri awargi

main aur meri awargi, main aur meri awargi

ab gham uthaye kisliye

aansu bahaye kisliye

ab gham uthaye kisliye

aansu bahaye kisliye

ye dil jalaye kisliye

ye dil jalaye kisliye

yu jaan gawayein kisliye

yu jaan gawayein kisliye

pesha na ho jiska sitam

dhundhenge ab aisa sanam

honge kahin to kaargar

main aur meri awargi, main aur meri awargi

main aur meri awargi, main aur meri awargi

aasar hain sab khot ke

insaan hain sab chot ke

aasar hain sab khot ke

insaan hain sab chot ke

ghar band hain sab koth ke

ghar band hain sab koth ke

ab khatam hai sab totke

ab khatam hai sab totke

qismat kaa sab yeh pher hai

andher hai andher hai

aise hue hain beasar

main aur meri awargi, main aur meri awargi

main aur meri awargi, main aur meri awargi

jab humdam wo humraaz tha

tab aur hi andaaz tha

jab humdam wo humraaz tha

tab aur hi andaaz tha

ab soz hai tab saaz tha

ab soz hai tab saaz tha

ab sharm hai tab naaz tha

ab sharm hai tab naaz tha

ab mujhse ho to, ho bhi kya

hai sath wo, to wo bhi kya

ek behunar ek besabar

main aur meri awargi, main aur meri awargi

main aur meri awargi, main aur meri awargi

phirte hain kab se darbadar

ab is nagar, ab us nagar

ek doosre ke humsafar

main aur meri awargi, main aur meri awargi

main aur meri awargi, main aur meri awargi

main aur meri awargi, main aur meri awargi

main aur meri awargi, main aur meri awargi

Explore this song