Roman script

ye mahfil khas hai koi aam nahi hai 

kamjor nigaho ka yaha kaam nahi hai 

are aashik ki najar hai ye dil chir ke rakh degi 

magrur husn ka sar kadmo pe jhuka degi 

mai vo chanda nahi mai vo chanda nahi jise badal chupa le 

mai vo badal nahi jise aandhi uda le 

mai vo aandhi nahi jise parvat jhuka le 

ajab meri hasti hai ha ha ajab meri hasti hai 

aur ajab mera afsana ha ha ajab mera afsana 

diwani mai hoti nahi kar deti hu diwana 

bana du diwana bana du diwana 

diwana diwana bana du diwana 

mai vo majnu nahi mai vo majnu nahi laila diwana kar de 

mai vo ranjha nahi heer afasana kar de 

aisi shamma kaha mujhko parwana kar de

fir teri kya hasti hai ha ha teri kya hasti hai

tera kya afsana ha ha tera kya afsana

shamma ko bhi chahu to bana du pal bhar me parwana 

bana du parwana bana du parwana

bana du parwana bana du parwana

agar mai karu ishara farista piche hole 

agar chudi khanka du pyar ke bhadke shole 

agar payal chanka du chanan cham chanan cham 

chanan chanan cham cham

agar payal chanka du to murda aankhe khole 

agar mai kamar hila du indra ka aasan dole 

indra ka aashan dole indra ka aasan dole 

shekhi jo marega uske andar kya dam hoga 

diya agar akde suraj ka rutba kya kam hoga 

jami par tu ek jarra aasma ka mai tara 

mom ki tu ek murat mai hu jalta angara 

pighal jayegi pal me dikha du agar najara

pighal jayegi pal me dikha du agar najara

tu ek najul kasti ishk ka mai hu dhara 

ishk ka mai hu dhara ishk ka mai hu dhara 

adab se baat kar adab se baat kar 

o beadab kya tu hai saudai 

mere jaisi koi aatma tujhe duniya me hai lai 

khuda ne pasli se aadam ki aurat ko kiya paida 

bada ab koun hai khud soch khud par kyu hui shaiba 

aag shamshano ki jal jal kar bhi sharminda hai 

jindagi aaj bhi aurat ke dam se jinda hai 

maut ne char ko mara to aath paida kiye aath paida kiye 

jalaye baithi hai tufa me jindagi ke diye jindagi ke diye 

phir bhi mardo ki mardami ki badi shohrat hai 

phir bhi mardo ki mardami ki badi shohrat hai 

maut ko jisne haraya hai vo to aurat hai 

to aurat hai to aurat hai 

har fitrat hai aajad meri fitrat hai aajad meri 

manjur nahi gulami mujhko bas me karne wale 

milegi bas nakami 

milegi nakami milegi nakami 

milegi nakami milegi nakami 

kaha aajad hai tu kaha aajad hai tu 

kaha aajad hai tu kab tu kaid se nkli 

panah chahiye har vakt tu hai aisi kali 

ha ha aisi kali tu hai aisi kali 

ladki jab paida hui bap ke saye me pali 

hui jawan to khalim ke hukmo pe chali 

hui jahid to bete ke hidayat me dhali hidayat me dhali 

kaha aajad hai tu kab tu kaid se nkli 

agar aajad bhi hui to ban gai titli 

umar bhar phir na sambhal pai tu agar fisli 

sare sansar me makhki jo maka se nikali 

maka se nikali jo maka se nkali 

najuk dali najuk dali

najuk dali tujhko chahiye koi na koi bali 

mit jayegi agar koi na kare teri rakhwali 

tujhme jurrat kaha tujhme jurrat kaha 

ke tu khatre utha le tujhme himmat kaha 

ke tu khud ko sambhale tujhme takat kaha 

ke tu khud ko bacha le 

khair jo apni chahe ha ha khair jo apni chahe 

na aage bat badhana na aage bat badhana 

shamma ko bhi chahu to bana du pal bhar me parwana 

bana du parwana bana du parwana

bana du parwana bana du parwana

bana du parwana bana du parwana

bana du parwana bana du parwana

Explore this song