Roman script

main to chalta hi raha 

main to chalta hi raha 

o rasta mujhe milta hi gaya 

main to chalta hi raha

o rasta

mujhe milta hi raha

kuch haath deke bhi

kheenche chale the

kuch saath hoke bhi

peeche pade the

main sambhalta hi raha

o rasta 

mujhe milta hi gaya

main to chalta hi raha 

o rasta

mujhe milta hi gaya 

ik gaaon aisa aaya re bandhuaa

pyaase pade the bade kalse the sookhe

kuaan tha andha pani chadhe na pade

ik gaaon aisa aaya re bandhuaa

pyaase pade the bade kalse the sookhe

kuaan tha andha pani chadhe na pade

kouvay ne kahin se patthar juta ke

chonch bhar bhar ke kuvey me phenke

gaaon phir chalakta hi raha

ek shehar me maaya aur mukti

lubhati thi woh badi 

ek shehar me maaya aur mukti 

lubhaati thi woh badi

saj dhaj ke chokhat pe

yun maayus dono thi khadi

mukti ki maaya me

gol gol ghume kabhi

maaya se mukti ki

dhak dhol baje kahi

dono naa palle pade

main kya jaanu re shatir hain dono

ik bin dooji na lade

maaya aur mukti ka

maine shehar chhoda re

baahar hi mili shanti

main usi ka hua re

main to chalta hi raha

o rasta 

mujhe milta hi gaya

main  to chalta hi raha

mujhe milta hi gaya 

main to chalta hi raha

o rasta 

mujhe milta hi gaya

main to chalta hi gaya

o rasta 

mujhe milta hi gaya

Explore this song