Roman script

main tere desh

main tere desh ki ladki

tu mere desh ka ladka

main tere desh ki ladki

tu mere desh ka ladka

mujhe chhed gaya pardeshi

mujhe chhed gaya pardeshi

meri halat kardi kaisi

phir bhi dil tera na dhadka

tu kaisa mard hain re tu kaisa hain ladka

tu kaisa mard hain re tu kaisa hain ladka

ho tera mele me milne ka wada tha

tera mele me milne ka wada tha

milke hulchul machane ka wada tha

main to aayi yaha banke dulhaniya 

jhulati nathaniya bajati painjaniya

meri payal ho gayi ghayal

meri payal ho gayi ghayal

mera ro ro bah gaya kaajal

phir bhi dil tera na dhadka

tu kaisa mard hain re tu kaisa hain ladka

tu kaisa mard hain re tu kaisa hain ladka

jisne chheda hain mujhe wo itna jaan le

jisne chheda hain mujhe wo itna jaan le

are kaun hu main kya hu wo pahchan le

karu pyar to kali hu main gulaab ki

aaye gussa to hu sherni punjab ki

guru govind singh ji ne dikhlaye mujhe raaste

ja pe khel jaau aabru ke waaste

main hu jhansi wali rani

chand biwi ki kahani

main jiya ji ki nishani

main shivaji ki bhawani

meri baaho me hain khube shamshiro ki

main shahido ki hu beti bahna veero ki

rajputo ki aan main hu akbar ki shaan

rana saanga ki main jaan

mujhse darte hain tufan

badla leke rahungi main ab to maan ka

sar jhuka ke rahungi aasman ka

jisne chheda mujhko uski jaan le le tu

jaan le na paye to phir jaan de de tu

warna chudiya pahan ki baith ghar me tu 

pyar ke kaabil nahi meri najar me tu

kirpal bhi maine khichi

kirpal bhi maine khichi

apne khun se dharti sinchi

phir bhi dil tera na dhadka

tu kaisa mard hain re tu kaisa hain ladka

tu kaisa mard hain re tu kaisa hain ladka

Explore this song